Pasand Ki Shadi Ka Istikhara Ka Tarika

Pasand Ki Shadi Ka Istikhara
Shadi duniya mein har insaan ko kabhi na kabhi karni hi hoti hai. Lekin kaun ye nahi chahta ki uski shadi kamyab ho! Agar aap bhi apne liye koi jeevan sathi chunte hai toh ye sochte hai ki unke sath ek achi zindagi guzarenge. Lekin har baar aisa nahi hota. Kayi baar aapka nikah kisi galat shaks se ho jata hai, jiski wajah se na sirf aapki shadi kharab hoti hai balki poori zindagi barbad ho jati hai. Lekin aap apni zindagi ko barbad hone se bacha sakte hai. Agar aap ne apne liye koi rishta dekha hai aur aap ye jaan na chahte hai ki wo rishta aapke liye sahi hai ya nahi toh aap sabse pehle shadi ke liye istikhara kare.
Jab aap jald bazi mein shadi na karke pasand ki shadi ka istikhara parh kar ye janenge ki jis ladke ya ladki se aap shadi karne ja rahe hai wo aapke liye sahi hai ya nahi toh na sirf aapki shadi kamyab hogi balki aapki zindagi khushiyon aur mohabbat se bhar jayegi. Ek acha jeevan sathi aapki zindagi sawar bhi sakta hai aur barbad bhi kar sakta hai. Isliye shadi ke liye istikhara behad zaroori hai har kisi ke liye.
Shadi Ke Liye Istikhara Kaise Kare
Shadi ke liye istikhara ka tarika na sirf aapko is baat ka andaza deta hai ki aapne jis ko shadi ke liye chuna hai wo aapke liye sahi hai ya nahi balki aapke dil se har tarah ke dar ko bhi mita deta hai. Isliye aap ko jald se jald molvi sahib se baat karni chahiye aur shadi ke liye istikhara kaise kare poochna chahiye. Itne ilm aur tajurbe ki wajah se wo aapko sabse sahi tarika batayenge, lekin yaad rahe agar aap se zara si bhi galti huyi to natija badal sakta hai. Isliye behtar ye hai ki aap ye unhi se karwaye aur natija jaan le.
Aap molvi sahib se online baat kare aur unko apni shadi ki details de. Wo 1-2 din mein aapko sahi jawab de denge.
Shadi ka Istikhara Ka Tarika
Shadi ka istikhara kaise kare ka tarika ye hai:
 Sone se pehle wazu karle. Aur saaf bistar pe baith kar 11 martaba Durood Shareef parhe. Uske baad 33 martaba Surah Falaq parhe. Fir se 11 martaba Durood Shareef parhe. Aur Allah Talah ke samne us ladke ya ladki aur unki ma ka naam le aur pooche ki kya wo mere liye ya meri aulad ke liye (jiski bhi shadi honi hai) thik hai.
Aap dua mange ki ya Allah, mujhe ek ishara de taki main is raah mein aage chal saku. Aur fir bistar mein let kar so jaye. Insha Allah, aapko us raat ya aage ane wali 3 raato mein koi na koi ishara zaroor milega aur apko pata chal jayega.
Pasand ki shadi ka istikhara behad jana bujha tarika hai ek shadi ke rishte mein aage badhne ka. Chahe ladke wale ho ya ladki wale, isko koi bhi kar sakta hai. Bas Allah Subhana Wa’ tala pe poora yakeen rakhe aur poore umeed se dua kare ki jo sahi faisla ho wo aapko pata chal jaye.