Hindi Mein Ayatul Kursi
Ayatul Kursi (आयतल कुर्सी) surah Baqarah ki 255vi ayat hai. Quran ko sahi se samajhne wale log jaante hai ki is surah ko Quran ka bahut khaas hissa maana gaya hai. Urdu ya Hindi mein Ayatul Kursi padhne wale Muslim jaante hai kis tarah ye ayat Allah ki shaan aur taqat bayaan karti hai.
Ayatul Kursi dua jise Quran ki sabse azeem tareen ayat ko padhne ke kai fayde hai. Hindi mein Ayatul Kursi padhne se poori qayanat ko fayda milta hai. Zameen se lekar aasman tak, pahadon se samandar tak, chaand se lekar sooraj tak, sab kuch Allah ka hai. Ayatul-Kursi se humein is baat ka matlab aur gehraai se samajh aati hai.
Hindi ya Urdu mein Ayatul Kursi ki fazilat ko tamam Quran ki Ayaton ka sardaar kaha jata hai. Jo bhi shaqs is ayat ko sachhe dil se padhta hai, uske ghar se shaitaan nikal jata hai. Is khas ayat mein 10 jumle hai aur har jumle ki khasiyat humein bahut kuch sikhati hai.
Ayatul Kursi Urdu Mein
Ab hum aapko Ayatul Krusi Urdu mein samjhaate hai. Is ayat ke sabhi 10 jumlo ki khasiyat aur matlab padhiye neeche:
अल्लाहु ला इलाहा इल्लाहू
Is jumle ka matlab hai ki Allah ke siva koi nahi hai. Har Musalman ko ye yaad rakhna chahiye ki Allah ke alawa koi bhi nahi hai jiski hum ibaadat kar sakte hai.
अल हय्युल क़य्यूम
Duniya mein kuch bhi khatam ho sakta hai par Allah ka vajood hamesha rahega. Vo hamesha zinda hai aur baaki rahne wala hai.
ला तअ’खुज़ुहू सिनतुव वला नौम
Allah ko kabhi neend nahi aati.
लहू मा फिस सामावाति वमा फ़िल अर्ज़
Zameen se lekar aasman jo kuch bhi hai vo sirf Allah ka hai.
मन ज़ल लज़ी यश फ़ऊ इन्दहू इल्लाबि इजनिह
Is duniya mei koi bhi nahi hai jo Allah ki ijazat ke khilaaf jaa sakega. Uski ijazat ke bina koi kisi bhi cheez ki sifarish nahi kar sakta.
यअलमु मा बैना अयदी हिम वमा खल्फहुम
Allah har insaan ke baare mein sab kuch jaanta hai. Uski kahi baaton ko sahi se maanne wala ya nahi maanne wala bhi uski nazar mein hai.
वला युही तूना बिशय इम मिन इल्मिही इल्ला बिमा शा
Koi bhi insaan Allah ke ilm ke kisi ek hisse tak bhi nahi pahuch sakta. Allah hi hai jisko ilm ata kiya jaa sakta hai.
वसिअ कुरसिय्यु हुस समावति वल अर्ज़
Allah ki kursi itni badhi hai ki us mein saaton zameen aur saaton aasmaan samaye hai. Is ayatul kursi ke zariye Allah ki shaan ko samajh sakta hai.
वला यऊ दुहू हिफ्ज़ुहुमा
Zameen aur aasmaan ki hifazat karne mein Allah ko bojh mehsus nahi hota. Uski kudrat ke saamne ye aasaan cheezein hai.
वहुवल अलिय्युल अज़ीम
Hamesha yaad rakhein ki Allah ki Azeemoshaan hai.
Ayatul Kursi Ke Fayde
Ayatul Kursi Urdu Ya Hindi mein padhne ke baad hum aapko iske fayde batate hain.
- Shaitaan se bachne mein sabse kaargar ayatul Kursi hi hai. Ayatul Kursi ki fazilat se aap khud ko aur apne chahne walon ko shaitaan se bacha sakte hai.
- Agar aapki zindagi ki pareshaniyon ko door karna hai to aaj se hi Ayatul Kursi padhna chalu kar dein.
Ayatul Kursi ke fayde sahi se samajhne ke liye aap hamaare Maulvi Sahab se baat kar sakte hai.